Allah ki qasam!jisy Allah mila use har kamyabi mili har kamyabi ne us ke qadam chumey aur jisy Allah mila App na bad main dikha sakty hai aur na pichli tarikh mian dikha sakty hai ke Allah ko palene ke bad koi hasrato se mara ho Allah ko palene ke bad kisi ke andar koi tamanaye ho.
Allah ko palene ke bad kisi chez ki hasrat ki ho Allah ko palene ke bad kisi ne nakam zindagi guzari ho
Allah ko pane ke bad kisi ne nakam zindagi guzarai ho Allah ko pane ke bad koi nakami ki moot mara ho yeh duniya lo tarikh aik dana bhi nahi pesh kar sakti na arab wa ajam main na kale aur gore main na aglon aur pichlo main Allah ka mil jana hi hamari zindagi ki miraj hai Allah dil ke zakhmo ka marham hai rooh ke phoro ka marham hai.
Allah ki qasam! sari duniya ka insan wo kashti hai jis ka na khuda bhi use chor sakta hai husn wa jamal rooh ke zakham ka marham nahi wo bhatka hoa hai.
Allah ki qasam! sari duniya ke raag wa rang museiki ki tane yeh rooh ki tar ko nahi hila sakti yeh dil ki tar ko museiki ke sar nahi cheer saktey hai dil ke tar ko quran ka naghma cherta hai rooh ki gehraieyo
main Quran ka naghma to utarta hai yeh randiyo ke naghmey dil ki aur rooh ki gehraieyo main utar nahi saktey yeh andar ko thandak nahi poncha saktey dolat aur badshahi aur duniya ki hakomtey aur duniya ki sar sabz wadiya sar sabz pahar aur khuly medan girti hoi absharey aur behty hoy chashmey aur mojey marty hoy samandar.
![]() |
Allah hi tamam jahano ka noor hai by Moulana Tariq Jameel |
0 comments: